Saturday, February 28, 2026
HomeNewsiQOO Z11 Turbo: ₹25,000 ke segment mein 6,500mAh battery aur Snapdragon 8s...

iQOO Z11 Turbo: ₹25,000 ke segment mein 6,500mAh battery aur Snapdragon 8s Gen 3 ka naya bet

iQOO Z11 Turbo: ₹25,000 ke segment mein 6,500mAh battery aur Snapdragon 8s Gen 3 ka naya bet

Smartphone market mein jab performance aur battery life ke beech balance ki baat aati hai, toh aise me iQOO aksar aggressive approach apnata hai. Halia reports aur leaks ke mutabiq, iQOO Z11 Turbo ko lekar market sentiment kaafi strong hai, kyunki yeh device seedha un users ko target kar raha hai jo heavy gaming karte hai aur long battery backup chahte hain wo bhi bina flagship price diye.

Agar baat karen Is phone ka to iska sabse bada selling point iska 6,500mAh ka massive battery pack hai. Jo aaj ke samay mein jahan zyadatar brands 5,000mAh par ruke hue hain, wahi iQOO ne apna capacity badha kar ek competitive edge lene ki koshish ki hai. Saath hi, Snapdragon 8s Gen 3 processor ki presence is smartphone me yeh saaf karti hai ki company sirf battery par focus nahi kar rahi, balki processing power mein bhi koi samjhauta nahi karna chahti hai.

Also Read: Realme 15 Pro 5G: 7000mAh बैटरी और 120W सुपरफास्ट चार्जिंग के साथ आया ‘पावरहाउस’, फीचर्स देख कहेंगे- ‘यही चाहिए था!’

Kya 200MP camera sirf ek marketing gimmick hai?

Market mein ek bada tabka hai jo sirf megapixels dekh kar phone kharidta hai. Z11 Turbo mein 200MP ka primary sensor diya gaya hai. Lekin yahan logon ko ek reality check ki zaroorat hai, kya image processing software itne heavy data ko handle kar payega? Agar optimization sahi nahi hui hai, toh itna bada sensor sirf storage bharne ke kaam aayega. Retailers aur tech enthusiasts is baat par nazar rakhe hue hain ki kya low-light performance mein yeh sensor waqayi koi value add karta hai ya yeh sirf ek numerical hype bana rha hai.

Price aur Competition

Estimate lagaya ja raha hai ki iQOO isse ₹25,000 se ₹28,000 ki range mein launch karne ki tyari kar rha hai. Is price bracket mein iska seedha muqabla OnePlus ki Nord series aur Nothing Phone (2a) se hoga. Jahan OnePlus ka ecosystem aur brand value hai, wahan iQOO apni ‘raw performance’ aur ‘battery endurance’ ke liye jana jata hai, iske dum par market share snatch karne ka plan bana raha hai.

Also Read: OnePlus 12 5G: क्या यह सच में iPhone और Samsung की छुट्टी कर देगा? खरीदने से पहले ये 5 बातें जान लें!

Final Take

iQOO Z11 Turbo un logo ke liye ek solid option lag raha hai jo din bhar charger se door rehna chahte hain aur mobile gaming ke shaukeen hain. Agar iQOO ne iski heat management (thermal throttling) par sahi kaam kiya hai, toh yeh mid-range segment ka ek naya benchmark set kar sakta hai.

Abhi
Abhihttp://dostigreaterthanee.in
नमस्ते, मैं अभी हूँ, एक टेक Enthusiastic जिसे नए स्मार्टफोन और मोबाइल टेक्नोलॉजी की दुनिया को बारीकी से समझना पसंद है। पिछले कई सालों से मैं मोबाइल लॉन्च, अनबॉक्सिंग और गैजेट्स के रिव्यूज के जरिए लोगों को सही स्मार्टफोन चुनने में मदद कर रहा हूँ। मेरा मकसद जटिल टेक्निकल स्पेसिफिकेशन्स को आसान भाषा में समझाना है ताकि आप अपने बजट और जरूरत के हिसाब से बेस्ट फोन चुन सकें। जब मैं लिख नहीं रहा होता हूँ, तो मैं अक्सर नए फीचर्स को टेस्ट करने और टेक ट्रेंड्स को फॉलो करने में बिजी रहता हूँ।
RELATED ARTICLES

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Most Popular

Recent Comments